Hamara Kya Hai Hum Tadpe Lyrics | Zindagi Ya Toofan | Talat Mahmood, Asha Bhosle | Shaukat Dehlvi Nashad

Hamara Kya Hai Hum Tadpe Lyrics | Zindagi Ya Toofan | Talat Mahmood, Asha Bhosle | Shaukat Dehlvi Nashad

Hamara kya hai hum tadpe magar tumko karar aaye
Hamara kya hai hum tadpe magar tumko karar aaye
Magar tumko karar aaye bas itna ho hame bhi apne
Dil par ikhtiyar aaye magar tumko karar aaye
Hamara kya hai hum tadpe magar tumko karar aaye
Magar tumko karar aaye

Bahut aasu hai aankho me bahut se dag hai dil me
Na ab sawan ki rut aaye na ab fasle bahar aaye
Magar tumko karar aaye

Humi ne bewafai ki hami ne ye dua mangi
Hamari bewafai ka na tumko etbar aaye
Magar tumko karar aaye hamara kya hai hum tadpe
Magar tumko karar aaye magar tumko karar aaye

Jaha itna kiya hai aap ye bhi karam kar do
Tum apni yad se kahdo na hargiz bar bar aaye
Magar tumko karar aaye magar tumko karar aaye

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *