Gin-gin taare
Gin-gin taare mai haar gayi raat ko
Gin-gin taare mai haar gayi raat ko
Haay mere saiyaan na aaye mulaakaat ko
Gin-gin taare mai haar gayi raat ko
Haay mere saiyaan na aaye mulaakaat ko
Gin-gin taare
Birha ki raat maine ro ke bitaayi
Raaja ro ke bitaayi
Sunta hai kaun dukhi dil ki duhaayi
Raaja dil ki duhaayi
Chanda ji bhi chhup-chhup the sun ke meri baat ko
Chanda ji bhi chhup-chhup the sun ke meri baat ko
Gin-gin taare
Gin-gin taare mai haar gayi raat ko
Haay mere saiyaan na aaye mulaakaat ko
Gin-gin taare
Aaja pardesi piya din pher apne
Raaja din pher apne
Naino me aan base tere hi sapne
Raaja tere hi sapne
Chaunk padu rah-rah ke aadhi-aadhi raat ko
Chaunk padu rah-rah ke aadhi-aadhi raat ko
Gin-gin taare
Gin-gin taare mai haar gayi raat ko
Haay mere saiyaan na aaye mulaakaat ko
Gin-gin taare

