Ghaav Dil Ke Dhuen Se Seetey Hai Lyrics | Sankalp | Mahendra Kapoor | Khayyam

Ghav dil ke dhuyen se seete hain
Zehar pite hain aur jite hain
Zehar pite hain aur jite hain

Kaun soche ki jindagi kya hain
Jindagi kya hain
Aadmi kya hain
Aadmi kya hain

Ye tumhare ghadi ghadi sajde
Ye tumhari ghadi ghadi puja
Rishvat hain ek rishvat hain
Bandagi kya hain
Kaun soche ki jindagi
Jindagi kya hain
Aadmi kya hain
Aadmi kya hain

Ye jo shamme jalaye baithe hain
Raat ko din banaye baithe hain
Inke sine me ek kiran bhi nahi
Chand dil ke bujhaye baithe hain
Dubne do hame andhero me
Dekhne do ki roshni kya hain
Kaun soche ki jindagi kya hain
Jindagi kya hain
Aadmi kya hain

Pyas bujhti na hosh marta hain
Katra katra saval karta hain
Aake duniya me
Kya kiya tune
Kya mila tujhko
Kya diya tune
In sawalo se dur kar de koi
Pyala khali hain
Pyala khali hain mera
Pyala khali hain mera
Bhar de koi
Bhar de koi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *