Gaye Dinon Kaa Suraag Lekar Kidhar Se Aayaa Kidhar Gayaa Wo Lyrics | Meraj-E-Ghazal (Album) | Asha Bhosle, Ghulam Ali | Ghulam ali

Gaye Dinon Kaa Suraag Lekar Kidhar Se Aayaa Kidhar Gayaa Wo Lyrics | Meraj-E-Ghazal (Album) | Asha Bhosle, Ghulam Ali | Ghulam ali

Gaye dino ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo
Gaye dino ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo
Ajib maanus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
Gaye dino ka surag lekar

Bas ek moti si chhab dikhakar
Bas ek moti si chhab dikhakar
Bas ek mithi si dhun sunakar
Sitara-e-sham ban ke aaya brang-e-khaabe sahar gaya wo
Ajib maanus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
Gaye dino ka surag lekar

Na ab wo yaado ka chadhta dariya
Na ab wo yaado ka chadhta dariya
Na fursato ki hai oas barkha
Yunhi jara si kasak hai dil me
Yunhi jara si kasak hai dil me
Jo zakhm gahra tha bhar gaya wo
Ajib maanus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
Gaye dino ka surag lekar

Wo hijr ki raat ka sitara
Wo hijr ki raat ka sitara
Wo humnafas humsukhan humara
Sada rahe uska naam pyara
Sada rahe uska naam pyara
Suna hai kal raat mar gaya wo
Ajib maanus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
Gaye dino ka surag lekar

Wo raat ka benava musafir
Wo raat ka benava musafir
Wo tera shayar wo tera naasir
Teri gali tak to humne dekha tha
Phir na jane kidhar gaya wo
Ajib maanus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
Gaye dino ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo
Gaye dino ka surag lekar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *