Ganga Ki Lehren Lyrics | Bandook | Lavan | Lavan-Veeral

Ganga ki lehren – 4
Behti jaaye re
Banti bigadti bhanwarein
Banti bigadti bhanwarein gaayein re
Gujre jidhar se bhi amrit sa jal yeh tera – 2
Upaje hai moti dharti leh-lahaaye re

Ganga ki lehren
Tatt hain tere moksha ke dwaare
Kehte hain vaid yeh saare
Nikli himalaya se le jeevan ki tu dhara
Ganga ganga

Tatt hain tere moksha ke dwaare
Kehte hain vaid yeh saare
Nikli himalaya se le jeevan ki tu dhara
Ghaaton pe tere mukti
Karte hain saare bhakti
Sadiyon se gyan lutaaye tera kinaara
Rishi muni sadhu sanyaasi
Mathrish aughad bairaagi
Paapon ko sabke harti harti jaaye re…

Ganga ki lehren – 2
Behti jaaye re
Banti bigadti bhanwarein
Banti bigadti bhanwarein gaayein re
Gujre jidhar se bhi amrit sa jal yeh tera – 2
Upaje hai moti dharti leh-lahaaye re
Ganga ki lehren.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *