Ek Taraf Jal Raha Deepak Lyrics | Preet Ka Geet | Mukesh, Zohrabai Ambalewali, Geeta Dutt | Shyam Babu Pathak

Ek Taraf Jal Raha Deepak Lyrics | Preet Ka Geet | Mukesh, Zohrabai Ambalewali, Geeta Dutt | Shyam Babu Pathak

Ek taraf jal raha deepak
Ek taraf jale mera dil
Jal jal ke ye jeena kaisa re
Jo marne se bhi mushkil
Jo marne se bhi mushkil

Meri sajaniya mujhse chhuti
Mere man ki aasha mujhse ruthi
Meri sajaniya mujhse chhuti
Mere man ki aasha mujhse ruthi
Mere naino me chhalak gaye aasu re
Jaise nabh me taro ki mehfil
Jaise nabh me taro ki mehfil

Mere piya ne mujhse mukh moda
Haye preet ka yarana kab toda haye toda
Mere piya ne mujhse mukh moda
Haye preet ka yarana kab toda haye toda
Yaro dekh ghor andhera chhaye re
Mujhe dikhti nahi hai manzil
Mujhe dikhti nahi hai manzil

Thi jinse mujhe itni aasha
Rakh gaye jigar ko wo pyasa haye pyasa
Thi jinse mujhe itni aasha
Rakh gaye jigar ko wo pyasa haye pyasa
Har sans pukare meri piya piya re
Mere pritam abhi to aake mil
Pyare pritam abhi to aake mil
Ek taraf jal raha deepak
Ek taraf jale mera dil
Jal jal ke ye jeena kaisa re
Jo marne se bhi mushkil
Jo marne se bhi mushkil

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *