Ek Nai Subah Ka Paigam Lyrics | Suryaa – An Awakening | Mohammed Aziz | Laxmikant-Pyarelal

(Ek nayi subah ka paigam lekar ayega suryaa
Aasma ka dharti ko salam lekar ayega suryaa) – 2
Suryaa

Umar is andheri ki raat bhar hai
Hone hi wali pal me sahar hai
Sathi o himmat na har jana
Char kadam bas or sahar hai
Asha ka sahar tere
Naam lekar ayega suryaa aasma ka dharti ko
Salam lekar ayega suryaa
Suryaa

Aayegi insaf ki hukmarani
Apna bahega khun hokar pani
Uth roshni ka lahrade parcham – 2
Kar de nayi ye dunia purani
Teri kurbani ka
Inam lekar ayega suryaa aasma ka dharti ko
Salam lekar ayega suryaa
Suryaa

Jo hal chalaye uski jami ho
Ye faisla ho aaj aur yahi ho
Kab tak hua karam apna hoga
Mehanat kahi or daulat kahi ho
Ye hukam dunia ke
Naam lekar ayega suryaa
Aasma ka dharti ko
Salam lekar ayega suryaa
Ek nayi subah ka
Paigam lekar ayega suryaa
Aasma ka dharti ko
Salam lekar ayega suryaa
Suryaa

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *