Are he ek din aasmaan se pari aayegi
Laut ke phir na waapas kabhi jaayegi
Are he uski khaamosh aahat ko sunta hoon main
Raat din
Har ghadi
Lamha lamha intzaar hai usi ka
Are he ek din aasmaan se pari aayegi
Phoolo se wo aashna
Kaliyon se hogi narm wo
Dekhunga jab main use
Mujhse karegi sharm wo
Sharmaa ke naajuk adaa se
Ghabaraa ke behki haya se
Julfon ki bheegi ghata se
Hontho ki sehmi sada se
Mere dil pe kayaamat si wo dhaayegi
Aayegi
He ek din aasmaan se pari aayegi
Laut ke phir na waapas kabhi jaayegi
Are he uski khaamosh aahat ko sunta hoon main
Raat din
Har ghadi
Lamha lamha intzaar hai usi ka
Chaahat ki chunar saja ke
Khwaabon ki mehendi rachaa ke
Nazron ke najdik aake
In faaslon ko mitaake
Wo dulhan bhi tere pyaar ke
Geet gaayegi
Aayegi
He ek din aasmaan se pari aayegi

