Ak Bar Ak Ladki Thi Nam Tha Jiska Simraila
Pariyo Jaisi Pyari Pyari Gudiyo Jaisi Rajdulari
Mammi Ko Pyari Papa Ko Pyari
Choti Si Bimari Me Uski Mammi Mar Gai
Chhod Akeli Simraila Ko Vo Ishvar Ke Ghar Gai
Itne Bade Makan Me Itne Bade Jahan Me
Bache Akele Keval Do Simraila Aur Uske Papa
Kai Varsh Yu Beet Gaye
Simraila Ke Papa Ne Tab Apna Duja Byah Rachaya
Simraila Ki Mammi Laya Simraila Ki Is Mammi
Ko Pahle Hi Thi Do Kanyaye Kanyaye Bhi Badi Vikat Thi
Badsurat Thi Bhundi Bhundi Nak Naksh Sab Tede Mede
Bat Chit Bhi Badi Karkasa
Lomdi Jaisi Ghurati Thi Muh Par Mitha Kurra Aisa
Bholi Bhali Saral Salouni Simraila Se Chidti Thi Vo
So Bechari Gudiya Rani Din Bhar Chulha Funka Karti
Sara Din Kapde Dhoti Thi Farsh Saf Karti Thi Din Bhar
Juto Par Poulish Karti Thi Aur Katkhani Dono Bahne
In Sab Se Ghabrati Roti Dhul Gya Aankho Se Moti
Baith Akeli Tahkhane Me Simraila Socha Karti Thi
Kismat Ko Kosa Karti Thi Fir Khud Ko Dheeraj Deti Thi
Tab Usne Kuch Mitra Banaye Chuhe Chuhiya Murge Murgi
Tota Maina Batakh Kabutar Fudak Fudak Karti Thi Chiraiya
Rang Birange Pyare Panchi Simraila Ka Drad Batate
Chahak Chahak Kar Gana Gate Ga Kar Usko Khub Hasate
Vo Udasi Dil Ki Pyasi Mitro Ke Lapde Siti Thi
Dukhdo Ko Has Kar Peeti Thi
Isi Tarah Sab Kuch Chalta Tha Din Ugta Tha Fir Dhalta Tha
Tabhi Ak Din Mila Nimtrd Raj Mahal Me Rajkuvar Ne
Maharash Ke Liye Bulaya Har Ladki Ko
Simraila Ki Souteli Ma Aur Ghamandi Dono Bahne Phuli Nahi Samati
Rajkuvar Ke Us Nyote Par Akad Akad Itrati Thi
Sare Ghar Me Chahal Pahal Thi Ho Halla Tha Ho Halla Tha
Simraila Bechari Gum Sum Fir Bhi Himmat Karke Boli
In Bahno Ka Ju Na Jau De Do Ammi Raj Mahal Mai Bhi Dekhungi
Rajkuvar Se Mil Aaungi
Dekho To Chuhiya Ki Himmat Ye Muh Masur Ki Dal
Jao Apna Chulha Funko
Ek Baar Ek Ladki Thi Song Lyrics from the movie/album Rani Aur Lalpari released in the year 2018 starring Jeetendra, Reena Roy. The song Ek Baar Ek Ladki Thi was sung by Asha Bhosle, Dilraj Kaur, Manna Dey. This movie/album was directed by Ravikant Nagaich. The music was given by Vasant Desai. The lyrics were Penned by Balkavi Bairagi
Share your thoughts