Dushman Na Kare Dost Ne Wo Kaam Kiyaa Hai Lyrics | Aakhir Kyon | Amit Kumar, Lata Mangeshkar | Rajesh Roshan

Dushman Na Kare Dost Ne Wo Kaam Kiyaa Hai Lyrics | Aakhir Kyon | Amit Kumar, Lata Mangeshkar | Rajesh Roshan

Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Umr bhar ka gam hame inaam diya hai
Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Umr bhar ka gam hame inaam diya hai

Tufaan me hamko chhod ke saahil pe aa gaye
Aa
Tufaan me hamko chhod ke saahil pe aa gaye
Saahil pe aa gaye
Naakhuda ka
Naakhuda ka hamne jinhe naam diya hai
Umr bhar ka gam hame inaam diya hai
Dushman na kare o

Pehle to hosh chhin liye zulm-o-sitam se
Aa
Pehle to hosh chhin liye zulm-o-sitam se
Zulm-o-sitam se
Diwaanagi ka
Diwaanagi ka phir hame ilzaam diya hai
Umr bhar ka gam hame inaam diya hai
Dushman na kare o

Apne hi giraate hai nasheman pe bijaliya
Aa
Apne hi giraate hai nasheman pe bijaliya
Nasheman pe bijaliya
Gairo ne aa ke
Gairo ne aa ke phir bhi use thaam liya hai
Umr bhar ka gam hame inaam diya hai
Dushman na kare o

Ban ke raqib baithe hai wo jo habib the
Aa
Ban ke raqib baithe hai wo jo habib the
Wo jo habib the
Yaro ne khub
Yaro ne khub farz ko anjaam diya hai
Umr bhar ka gam hame inaam diya hai
Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Umr bhar ka gam hame inaam diya hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *