Dur Kahi Ik Aam Ki Bagiya Lyrics  | Zubeidaa | Karishma Kapoor, Manoj Bajpai | Lata Mangeshkar | A R Rahman

Dur Kahi Ik Aam Ki Bagiya Lyrics | Zubeidaa | Karishma Kapoor, Manoj Bajpai | Lata Mangeshkar | A R Rahman

Dur kahi ik aam ki bagiya -2, bagiya mein hai thandi chaanv
Chaanv mein ek kachcha rasta, raste mein pyaara sa gaanv
Gaanv mein ik chhota sa ghar, ghar mein ek ujala sa aangan
Aangan mein chandan ka palana, palane mein chanda sa munna
Munne ki aankhon mein nindiya
Dur kahi ik aam ki bagiya, bagiya mein hai thandi chaanv
Chaanv mein ek kachcha rasta, raste mein pyaara sa gaanv

Neele neele aasmaan mein taaron ka hai ek nagar
Dagmag dagmag ik taare par ik shehjaadi ka hai ghar
Luke chhupake raat ko uthake dhyaan se dekhe koi agar
Jhilmil jhilmil hai taare mein uss shehjaadi ke jewar
Shehjaadi ithalaaye, shehjaadi yeh gaaye, dur kahi ik aam ki bagiya

Aadhi raat jab ho jaati hai, jab duniya so jaati hai
Taaron se shejaadi utarake munne ki ghar aati hai
Mithe mithe saare sapne apne saath woh laati hai
Sote munne ki palakon pe yeh sapne woh sajaati hai
Sirhaane woh aaye, haule se woh gaaye, dur kahi ik aam ki bagiya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *