Dulhan Chali, O Pahan Chali Tin Rang Ki Choli Lyrics | Purab Aur Pachhim | Mahendra Kapoor | Kalyanji Anandji

Dulhan Chali, O Pahan Chali Tin Rang Ki Choli Lyrics | Purab Aur Pachhim | Mahendra Kapoor | Kalyanji Anandji

Dulhan chali
O pahan chali
Dulhan chali
O pahan chali
Tin rang ki choli
Baho me laharaye gnaga jamuna
Dekh ke duniya doli
Dulhan chali
O pahan chali tin rang ki choli

Ta mahal jaisi taza hai surat
Chalti phirti ajanta ki murat
Mel milap ki mehnadi rachaye
Balidano ki rangoli
Dulhan chali
O pahan chali tin rang ki choli

Mukh chamake jyo himalaya ki choti
Ho na padosi ki niyat khoti
O ghar valo zara isko sambhalo
Ye to hai badi bholi
Dulhan chali
O pahan chali tin rang ki choli

Aur sajegi abhi aur sanwaregi
Chadhati umariya hai aur nikharegi
Apni azadi ki dulhaniya
bees ke upar holi
Dulhan chali
O pahan chali tin rang ki choli

Desh prem hi azadi ki dulhaniya ka var hai
Is alabeli dulhan ka sindur suhag amar hai
Mata hai kasturba jaisi babul gandhi jaise
Chacha jiske nehru shastri dare na dushman kaise
Dare na dushman kaise vir shivaji jaise viren
Lakshmi bai bahna lakshman jis ke bodh bhagat singh
Uska phir kya kahna
Jiske liye javan baha sakte hai khun ki ganga
Age pichhe tino sena le ke chale tiranga
Sena chalti hai le ke tiranga
Ho koi ham prant ke vasi ho koi bhi bhasha-bhashi
Sabse pahle hai bharatvasi
Sabse pahle hai bharatvasi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *