Do Panchi Do Tinke Lyrics | Tapasya | Kishore Kumar, Aarti Mukherjee | Ravindra Jain

Do Panchi Do Tinke Lyrics | Tapasya | Kishore Kumar, Aarti Mukherjee | Ravindra Jain

Do panchhi do tinke kaho le ke chale hai kaha
Do panchhi do tinke kaho le ke chale hai kaha
Ye banaayenge ek aashiya
Ye banaayenge ek aashiya
Do panchhi do tinke kaho le ke chale hai kaha
Ye banaayenge ek aashiya
Ye banaayenge ek aashiya

Ye to apni hi dhun me gaaye unche-unche udte jaaye
Inki masti ko aur badhaye saawan ki ye hawaaye
Manjil ke matwaale dekho chhune chale aasamaan
Manjil ke matwaale dekho chhune chale aasamaan
Ye banaayenge ek aashiya
Ye banaayenge ek aashiya

Ek phulo bhari ho daali aur us par ho basera
Kuchh aisa hi mitha-mitha hain sapna tera mera
Ye sapna sach hoga kah rahi dhadakno ki jubaan
Ye sapna sach hoga kah rahi dhadakno ki jubaan
Hum banaayenge ek aashiya
Hum banaayenge ek aashiya
Hum banaayenge ek aashiya
Hum banaayenge ek aashiya
Hum banaayenge ek aashiya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *