Din Raat Badalte Hai, Halat Badalte Hai Lyrics | Naya Sansar | Hemant Kumar | Chitragupt

Din Raat Badalte Hai, Halat Badalte Hai Lyrics | Naya Sansar | Hemant Kumar | Chitragupt

Din raat badalte hain
Halaat badalte hain
Saath saath mausam ke
Phool aur paat badalte hain
Ho din raat badalte hain
Halaat badalte hain
Saath saath mausam ke
Phool aur paat badalte hain
Ho din raat badalte hain

Kabhi hamesha dhoop rahi na
Sada rahi kabhi chhaaw
Ek jagah par kabhi ruke na waqt ke chalte paanv
Baske ujadte ujadke baste dekhen kitne gaon
Are din raat badalte hain
Halaat badalte hain
Saath saath mausam ke
Phool aur paat badalte hain
Ho din raat badalte hain

Beet hi jaayegi patjhad
Phir aayegi hariyaali
Aaj hai jo daali sooni kal hogi phoolon waali
Kaun chandaniya ko puchhe jo na ho ratiyaan kaali
Are din raat badalte hain
Halaat badalte hain
Saath saath mausam ke
Phool aur paat badalte hain
Ho din raat badalte hain

Ye jeewan ek bahti nadiya
Dukh sukh iske rele
Phool ki aasha karnewaale
Pahle kaante le le
Kya jaane wo khushi ki keemat
Jo na dard se khele
Are din raat badalte hain
Halaat badalte hain
Saath saath mausam ke
Phool aur paat badalte hain
Ho din raat badalte hain

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *