Dil Todne Vale, Tujhe Dil Dhundh Raha Hai Lyrics | Son Of India | Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi | Naushad

Dil Todne Vale, Tujhe Dil Dhundh Raha Hai Lyrics | Son Of India | Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi | Naushad

Dil todne vale
Tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai
Aavaz de tu kon si nagari me chhupa hai
Dil todne vale

Tu humko jo mil jaye to hal apna sunaye
Khud roye kabhi aur kabhi tujhko rulaye
Kabhi tujhko rulaye
Wo dag dikhaye jo hame tune diya hai
Ai dil ke sahare tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai
Sine me teri yaad ka tufan utha hai
Ai dil ke sahare

Dil me to ye hasrat hai tere pas mai aau
Nazaro se gira hu to nazar kaise milau
Nazar kaise milau
Badnam hu
Nakam hu
Kya mujh me raha hai
Ai dil ke sahare
Tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai

Dikhla ke kinara mujhe mallah ne luta
Kashti bhi gayi hath se
Patvar bhi chhuta
Patvar bhi chhuta
Ab aur na jane meri taqadir me kya hai
Dil todne vale
Tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai

Bechain udhar tu hai
To majbur idhar hum
Baithe hai chhupaye huye
Ashqo me tera gam
Ashqo me tera gam
Har chot ubhar aayi hai
Har zakhm hara hai
Dil todne vale
Tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *