Dil Dhundhata Hai Fir Wahee Furasat Ke Rat Din Lyrics | Mausam | Bhupinder Singh, Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Dil dhundhata hai fir wahee furasat ke rat din
Baithe rahe tasawwure jaana kiye huye

Jaado kee narma dhup aur aangan me let kar
Aankho pe khinch kar tere daaman ke saaye ko
Aaundhe pade rahe kabhee karwat liye huye

Ya garmiyo kee raat jo puraawaayiya chale
Thhandee safed chaadaro pe jage der tak
Taaro ko dekhate rahe chhat par pade huye

Barfilee sardiyo me kisee bhee pahad par
Wadee me gunjatee hui, khamoshiya sune
Aankho me bhige bhige se lamhe liye huye

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *