Dhup hai kya aur saya kya hai
Ab malum hua
Dhup hai kya aur saya kya hai
Ab malum hua
Ye sab khel tamasha kya hai
Ab malum hua
Dhup hai kya aur saya kya hai
Ab malum hua
Hanste phul ka chehra dekhu
Aur bhar aayi aankh
Hanste phul ka chehra dekhu
Aur bhar aayi aankh
Apne saath ye kissa kya hai
Ab malum hua
Dhup hai kya aur saya kya hai
Ab malum hua
Hum barso ke baad bhi
Usko ab tak bhul na paye
Hum barso ke baad bhi
Usko ab tak bhul na paye
Dil se uska rishta kya hai
Ab malum hua
Dhup hai kya aur saya kya hai
Ab malum hua
Sehra sehra pyaase bhatke
Saari umar jale
Sehra sehra pyaase bhatke
Saari umar jale
Baadal ka ik tukda kya hai
Ab malum hua
Dhup hai kya aur saya kya hai
Ab malum hua
Ye sab khel tamasha kya hai
Ab malum hua
Dhup hai kya aur saya kya hai
Ab malum hua

