Dhadkane Ye Kahti Hai Anshuo Ke Rele Me
Bah Gaye Kahi Armaan
Dhadkane Ye Kahti Hai Anshuo Ke Rele Me
Bah Gaye Kahi Armaan
Dil Unhe Kaha Dhunde
Dil Unhe Kaha Khoje
Ek Dil Hai Sau Tufan
Dhadkane Ye Kahti Hai
Kya Khabar Thi Raho Me Aise Mod Aate Hai
Kya Khabar Thi Raho Me Aise Mod Aate Hai
Raahe Chalti Rahti Hai Raahi Chhod Jate Hai
Raahi Chhod Jate Hai
Aaj Vo Paraye Hai Aaj Hai Vo Begane
Kal Jo Dil Ke The Mehmaan
Dhadkane Ye Kahti Hai
Garam Aag Ke Shole Jal Ke Sard Ho Jaye
Raat Ke Andhere Me Din Ke Saye Kho Jaye
Garam Aag Ke Shole Jal Ke Sard Ho Jaye
Raat Ke Andhere Me Din Ke Saye Kho Jaye
Din Ke Saaye Kho Jaye
Guzare Wqat Ki Yaadein Dil Se Kab Nikalti Hai
Chahe Kuch Kare Insaan
Dhadkane Ye Kahti Hai
Jindagi To Milti Hai Adami Ko Duniya Me
Aaye Na Magar Jeena Har Kisi Ko Duniya Me
Jindagi To Milti Hai Adami Ko Duniya Me
Aaye Na Magar Jeena Har Kisi Ko Duniya Me
Dost Hai Ya Dusman Hai Koi Kaise Pehchane
Kaam Ye Nahi Aasan
Dhadkane Ye Kahti Hai Anshuo Ke Rele Me
Bah Gaye Kahi Armaan Dil Unhe Kaha Dhunde
Dil Unhe Kaha Khoje
Ek Dil Hai Sau Tufan
Ek Dil Hai Sau Tufan
Dhadkan Yeh Kehti Hai Song Lyrics from the movie/album Insaaf Ki Jung released in the year 2019 starring Mithun Chakraborty, Pramod Moutho. This movie/album was directed by Prakash Kapoor. The music was given by Laxmi Pawan
Share your thoughts