Delhi…. Jagegee Rat Bhar, Aur Bhagegee Sath Par Lyrics | Delhi Heights | Rabbi Shergill | Rabbi Shergill

Delhi…. Jagegee Rat Bhar, Aur Bhagegee Sath Par Lyrics | Delhi Heights | Rabbi Shergill | Rabbi Shergill

Jagegi rat bhar
Aur bhagegi sath par
Par dalegi belagam khayalo ko
Puchhegi ye sawal aur mangegi ye hisab
Naa sunegi tere in jawabo ko
Yaha hai ek nadi aur wahan ek laal kila
Par kaha hain is shehar kaa falsafa

Yaha aansu aur geet
Aur javani bhi maine tere naam kiya
Par aadhi raat
Aur sadke thi sab mere baad
Wahan mai tha
Tu thi
Aur thi dilli bas

Kahi koyi ud raha hain
Kahi koyi gir raha hain
Kahi koyi hain khada kagaar pe
Kahi koyi khele juaa
Aur kahi koyi bane gulam
Aur kahi koyi hain pada intzar me
Jab gaya kal mai kutubminar
Aur suna tha maine ailan ki
Bani hai yaha ek nayi party
Aawara hai naam
Bhatkana jiska vidhaan hai
Fursat hai kam
Kuchh dhundla sa apna nishan hai
Wahan mai tha
Tu thi
Aur thi dilli bas

Dekhe yaha kayi
Mausam badlate huye
Dekhe jazbe kayi
Yaha patthar bante huye
Kayi wakt se pehle
Sab aaj tu keh le

Yaha aansu aur geet
Aur javani bhi maine tere naam kiya
Par aadhi raat
Aur sadke thi sab mere baad
Wahan mai tha
Tu thi
Aur thi dilli bas

Aawara hai naam
Bhatkana jiska vidhaan hai
Fursat hai kam
Kuchh dhundla sa apna nishan hai
Wahan mai tha
Tu thi
Aur thi dilli bas

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *