Dekho Bina Saavan Baras Rahi Badli
Piya Ke Daras Ko Taras Rahi Badli
Dekho Bina Saavan Baras Rahi Badli
Pi Bin Duniya Suni Ho Gayi
Mann Ki Pida Duni Ho Gayi
Mann Ki Pida Duni Ho Gayi
Sau Gham Jaage Kismat So Gayi
Chhalak Rahi Nainan Ki Gagri
Dekho Bina Saavan Baras Rahi Badli
Piya Ke Daras Ko Taras Rahi Badli
Rah Gayi Birhan Haar Piroti
Tute Sapne Bikhare Moti
Tute Sapne Bikhare Moti
Bichhad Gayi Dipak Se Jyoti
Ujad Gayi Re Mann Ki Nagri
Dekho Bina Saavan Baras Rahi Badli
Piya Ke Daras Ko Taras Rahi Badli
Iss Duniya Ne Iss Duniya Ne Pyaar
Hai Chhina Kab Tak Ro Ro Aansu Pina
Dur Sajan Se Abb Kya Jina Chhodde Abb
To Duniya Pagli
Dekho Bina Saavan Baras Rahi Badli
Piya Ke Daras Ko Taras Rahi Badli
Dekho Bina Saavan Baras Rahee Badalee Song Lyrics from the movie/album Sawan released in the year 2018 starring Bharat Bhushan, Ameeta. The song Dekho Bina Saavan Baras Rahee Badalee was sung by Mohammed Rafi. The music was given by Hansraj Behl. The lyrics were Penned by Prem Dhawan
Share your thoughts