Dekhati Hi Raho Aaj Darpan Na Tum Lyrics | Nai Umar Ki Nai Fasal | Mukesh | Roshan

Dekhati Hi Raho Aaj Darpan Na Tum Lyrics | Nai Umar Ki Nai Fasal | Mukesh | Roshan

Dekhti hi raho aaj darpan na tum
Pyaar kaa ye mahurat nikal jaayegaa
Nikal jayega
Dekhti hi raho aaj darpan na tum
Pyaar kaa ye mahurat nikal jaayegaa
Nikal jayega

Saans ki to bahut tez raftaar hai
Aur chhoti bahut hai milan ki ghadi
Gundhate gundhate ye ghataa saanvari
Bujh na jaaye kahi rup ki phulajhadi
Chudiyaan hi na tum
Chudiyaan hi na tum khanakhanaati raho
Ye sharamashaar mausam badal jaayega
Badal jaayega
Dekhti hi raho aaj darpan na tum

Surkha hotho pe uf ye hansi madbhari
Jaise shabnam angaaro ki mehamaan ho
Jaadu bunati hui ye nashili nazar
Dekh le to khudai pareshaan ho
Muskurao na aise
Muskurao na aise churaakar nazar
Aainaa dekh surat machal jaayega
Machal jaayegaa
Dekhti hi raho aaj darpan na tum

Chaal aisi hai madhosh masti bhari
Nind suraj sitaaro ko aane lagi
Itne naazuk kadam chum paaye agar
Sote sote biyabaan gane lage
Mat mahaavar rachaao
Mat mahaavar rachaao bahut paanv me
Farsh ka marmari dil bahal jaayega
Bahal jaayega
Dekhti hi raho aaj darpan na tum

Kya hua kho gayi kaun si chij hai
Jhuk rahi hai najar kyu idhar se udhar
Honth sahme hue bol bahke hue
Hai pareshan kaajal kadam bakhabar
Na na pallu uthaao
Na na pallu uthao giraao nahi
Shayri ka nya daur chal jayega
Chal jayega

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *