Dekh Sakte Nahi Tumko Lyrics | Ilzaam | Mukesh | Usha Khanna

Dekh Sakte Nahi Tumko Lyrics | Ilzaam | Mukesh | Usha Khanna

Dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham
Dil mein kiske gumaan kya guzar jaayega
Tumko apna kahen to kahen kis tarah
Saari maafil ka chehara utar jaayega
Dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham

Tum bhi betaab ho ham bhi bechain hain
Dil se milne ki hasarat machalne lagi
Sabr ka ab to daaman sulagne laga
Pyaar ki aag seene mein jalne lagi
Pyaar ki aag seene mein jalne lagi
Tumase milane na paaye agar aaj ham
Lagta hai dil hi thahar jaayega
Dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham

Ho kisi desh mein ya kisi bhesh mein
Shaklen apnon ki pahachan leta hai dil
Tum kaho na kaho ham kahen na kahen
Baat dil ki to khud jaan leta hai dil
Baat dil ki to khud jaan leta hai dil
Saamne bas yun hi muskarate raho
Zindagi ka muqaddar sanvar jaayega
Dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham

Jaan kar ki gai ya ho anjane mei
Duniya wale khata maaf karte nahi
Duniya walo ka ye julm to dekhiye
Deke bhi jo saja maaf karte nahi
Deke bhi jo saja maaf karte nahi
Jindgi ban gai kaid insan ki
Ab to iljam lekar kidhar jayega
Dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham
Dil mein kiske gumaan kya guzar jaayega
Tumko apna kahen to kahen kis tarah
Saari mahfil ka chehara utar jaayega
Dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *