Dar Naa Mohabbat Karle Lyrics | Andaz | Shamshad Begum, Lata Mangeshkar | Naushad

Dar Naa Mohabbat Karle Lyrics | Andaz | Shamshad Begum, Lata Mangeshkar | Naushad

Dar na mohabbat karle
Dar na mohabbat karle
Ulfat se jholi bhar le
Duniya hai char din ki
Ji le chahe mar le
Ho dar na mohabbat karle
Dar na mohabbat karle

Duniya fani
Tu bhi fani
Leta ja ulfat ki nishani
Do lafzo ki ek kahani
Ek mohabbat ek jawani
Yad isse tu karle
Yad isse tu karle
Dar na mohabbat karle
Dar na mohabbat karle

Duniya to kato ka ek ban hai
Aur ulfat phulo ka chaman hai
Kar le wahi jo dil ki lagan hai
Soch na manjil dil ki kathan hai
Ho dil ki kathan hai
Iss manjil se gujar le
Iss manjil se gujar le
Dar na mohabbat karle
Dar na mohabbat karle
Ulfat se jholi bhar le
Duniya hai char din ki
Ji le chahe marr le
Ho dar na mohabbat karle
Dar na mohabbat karle

Kehna jo tune mera na mana
Pichhe padega phir pachhtana
Dekhle apna karle thikana
Ye hai mohabbat woh hai jamana
Woh hai jamana
Hass le ya ahen bhar le
Hass le ya ahen bhar le
Dar na mohabbat karle
Dar na mohabbat karle

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *