Chupke se sun is pal ki dhun
Is pal me jeevan saara
Sapno ki hai duniya yehi
Meri aankho se dekho zara
Chupke se sun is pal ki dhun
Is pal me jeevan saara
Sapno ki hai duniya yehi
Meri aankho se dekho zara
Gehra hua phatne laga
Kohre chhate dekho chaaro taraf ab noor hai jannat ka
Ujli zameen neela gagan
Paani pe behta shikara
Sapno ki hai duniya yehi
Teri aankho se maine dekha
Chupke se sun is pal ki dhun
Aasha ke par lage panchhi banke main uddi
Jinki thi aarzoo un raaho se main judi
Kuch paa gayi kuch kho gaya
Jaane mujhe kya ho gaya
Jaagi jaagi soyi soyi
Rehti hoon khoyi khoyi
Meri bekaraari koi jaane na jaane na
Rut hai deewani badi chhede mujhe ghadi ghadi
Aise me anadi dil maane na maane na
Sapno ki hai duniya yehi
Teri aankho se maine dekha
Chupke se sun is pal ki dhun
Mausam ka ho gaya jaane kaisa yeh asar
Chehre se ab tere hatati nahi meri nazar
Koi kahi na paas hai
Bas pyaar ka ehsaas hai
Khushboo ka jhonka aaye
Hume mehka ke jaaye
Humko na kuch bhi khabar hai khabar hai
Door shehnai baji yaado ki dulhan saji
Seene pe tumhare mera sar hai sar hai
Sapno ki hai duniya yehi
Meri aankho se dekho zara
Gehra hua phatne laga
Kohre chhate dekho chaaro taraf ab noor hai jannat ka
Chupke se sun is pal ki dhun
Is pal me jeevan saara
Sapno ki hai duniya yehi
Teri aankho se maine dekha
Chupke se sun is pal ki dhun
Teri aankho se maine dekha
Chupke se sun
Teri aankho se maine dekha
Chupke se sun is pal ki dhun

