Chhod Babul Ka Ghar Mohe Pi Ke Nagar Aaj Jana Pada Lyrics | Babul | Shamshad Begum, Mohammed Rafi, Talat Mahmood | Naushad

Chhod Babul Ka Ghar Mohe Pi Ke Nagar Aaj Jana Pada Lyrics | Babul | Shamshad Begum, Mohammed Rafi, Talat Mahmood | Naushad

Chhod babul kaa ghar
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada
O aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada

Sang sakhiyo ke bachapan bitaati thi main
Ha bitaati thi main
Byah gudiyo kaa hans hans rachaati thi main
Ha rachaati thi main
Sab se munh mod kar
Kya batau kidhar
Dil lagana pada o aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada

Yaad maike ki tan se bhulaye chali
Ha bhulaye chali
Prit sajan ki man me basaye chali
Ha basaye chali
Yaad kar ke yeh ghar
Royi aankhe magar
Muskurana pada o aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada

Pehan ulfat ka gehna dulhan main bani
Ha dulhan main bani
Dola aaya piya ka sakhi main chali
Ha sakhi main chali
Ye tha jhutha nagar
Isliye chhod kar
Mohe jana pada o aaj jana pada

Chhod babul kaa ghar
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada
Chhod babul kaa ghar
Mohe pi ke nagar
Aaj jana pada
O aaj jana pada

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *