Chhaayaa Meri Ummid Ki Duniyaa Men Andheraa Lyrics | Chandni Raat | Shamshad Begum | Naushad

Chhaayaa Meri Ummid Ki Duniyaa Men Andheraa Lyrics | Chandni Raat | Shamshad Begum | Naushad

Chhaaya meri ummid ki duniya me andhera
Ab ye kise maalum hai kab hoga savera
Chhaaya meri ummid ki duniya me andhera
Ab ye kise maalum hai kab hoga savera

Kho jaaye na mil kar kahi ulfat ka khazana
Kahi ulfat ka khazana
Kho jaaye na mil kar kahi ulfat ka khazana
Rah jaaye na lut kar kahi armaano kaa dera
Ab ye kise maalum hai kab hoga savera

Khilne bhi na paayi abhi kaliya mere dil ki
Abhi kaliya mere dil ki
Khilne bhi na paayi abhi kaliya mere dil ki
Dil tod ke gam ne kiya pehlu me basera
Ab ye kise maalum hai kab hoga savera

Sunta nahi koyi kise mai ja ke sunaau
Kise mai ja ke sunaau
Sunta nahi koyi kise mai ja ke sunaau
Dukh-dard me duba hua afsana hai mera
Ab ye kise maalum hai kab hoga savera
Chhaaya meri ummid ki duniya me andhera
Ab ye kise maalum hai kab hoga savera

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *