Chandni Aasman Pe Hai Nahin Lyrics | Muskurake Dekh Zara | Saurabh Srivastava | Ranjit Barot

Chandni Aasman Pe Hai Nahin Lyrics | Muskurake Dekh Zara | Saurabh Srivastava | Ranjit Barot

Chandni aasman pe hai nahin
Woh to hai yahin kahin
Khushnaseebi
Palki chaand ki chali wahan
Aayi hai dulhan yahan
Khushnaseebi
Woh kal tak jo door the
Unka hi noor hai
Roshan hui dil ki zameen hoo
Chandni aasman pe hai nahin
Woh to hai yahin kahin
Khushnaseebi

Nazuk honthon pe kaatil hassi hai
Nigahein hai teer si
Shabnam mein adaayein sholon si hai
Tu hai rango mein rangi
Ab rang le tu pyaar ka
Dil le dildaar ka
Shaam o sehar ho bekhudi hoo
Chandni aasman pe hai nahin
Woh to hai yahin kahin
Khushnaseebi
Khushnaseebi
Khushnaseebi

Taarifo pe bhi na aise sharamaao
Nazarein milne bhi do
Parde mein haya ke aankhon se tum
Baatein hone bhi do
Arrey pehla ye pyaar hai
Pyaar ka deedar hai
Tumse hui hai aashique hoo
Chandni aasman pe hai nahin
Woh to mere saath hai
Khushnaseebi hoo
Palki chaand ki chali wahan
Aayi hai dulhan yahan
Khushnaseebi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *