Chandan Ka Palna Resham Ki Dori Lyrics | Shabab | Hemant Kumar, Lata Mangeshkar | Naushad Ali

Ho…
Chandan ka palna resham ki dori
Jhula jhulau nidiya ko tori
Chandan ka palna

So ja tu aise mori sajaniya
Sajiya pe soye jaise dulhaniya
Chanda ka tika mathe lagau
Taro ki mala tujhako pahnau – 2
Tohe sulau ga ga ke lori
Jhula jhulau nidiya ko tori
Chandan ka palna

Unche gagan se koi bulaye
Aayi hai pariya dola sajaye
Sajan se milne dur chali ja
Udake tu nidiya phur chali ja – 2
Chanda pukare aaja chakori
Jhula jhulau nidiya ko tori
Chandan ka palna

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *