Chalta rahe ye karwa
Umr-e-rava ka karwa
Umr-e-rava ka karwa
Chalta rahe ye karwa
Umr-e-rava ka karwa
Shaam chale
Pehar chale manzil se bekhabar chale
Shaam chale
Pehar chale manzil se bekhabar chale
Bas yuhi umr bhar chale
Ruk na sake yaha vaha
Chalta rahe ye karwa
Umr-e-rava ka karwa
Phule phale meri kali gam na mile tujhe kabhi
Phule phale meri kali gam na mile tujhe kabhi
Guzre khushi me zindagi
Aaye na mausam-e-khiza
Chalta rahe ye karwa
Umr-e-rava ka karwa
Duniya ka tu habib ho manzil teri qarib ho
Duniya ka tu habib ho manzil teri qarib ho
Insan tera nasib ho
Tujh pe khhuda ki ho amaa
Chalta rahe ye karwa
Umr-e-rava ka karwa

