Shehar Se Bahar Rahun
Shehar Ka Pyar Bhi Hun
Pukaray Ye Naam Ab Log
Mashoor Bhi Hun Awzaar Bhi Hun
Ghar Ki Deewar Banu Samjh Se Bahar Bhi Hun
Andhero Me Khwaab Ki Tarha Me Duur Bhi Hun Bemisaal Bhi Hun
Har Dil Ki Awaaz Banu Khuda Ka Nizam Jo Hun
Ayi Bahar Jo Leke Ye Ashaar Dilo Dimaagh Me Hun
Sochlo Ab Kia Hi Kahun Meri Har Saans Me Tu
Aaj Phir Ayi Na Tu Khamosh Bhi Hun Khuddar Bhi Hun
Kahani Ye 2 Ashiqon Ki
Sun Saki Na Pehle Dil Ki Ab Aashiq Hogi
Manzil Tujh Ko Hasil Hogi
Yaad Ati Hogi Beshak Baatein Faaslon Ki
Bhaagein Tere Peeche Choray
Bastay Dunya Walay Mujh Pe Hastay
Badlay Nahi Han Badlay Rastay
Logo Ki Nazar Se Bachtay
Akhir Kia Hi Kartay Saj Ke
Aj Bhi Likhte Sirf Sach Pe
Na Baraste Na Garajte
Seh Rahy Saza Samjh Ke
Ye Shaam Ho Aur Tere Intezar Me Kharay
Usi Kinaray Khud Se Jangein Saari Haar Ke
Bhulana Chah Rahy Par Bhulatay Kese
Tanhai Me Bhi Ye Yaadein Mere Humesha Saath De Aj Phir
Yaad Teri Aa Hi Gayi
Laut K Tu Aayi Nahi
Kia Hi Likhun Teri Tareef Me
Tu Wo Aag Jo Bhujai Hi Nahi
Yaad Teri Aa Hi Gayi
Laut K Tu Ayi Nahi
Aj Phir Tu Khwaab Aj Phir Wahi Tasveer
Jo Aaj Tak Jalaii Nahi
Tere Bin Ye Kesi Zindagi
Soz-e-gham Bani Ye Zindagi
Na Uljhein Hai Kabhi Na Uljhenge Abhi
Kia Sirf Dikhawa Hai Ye Zindagi
Ab Koi Jaanay Ki Bhi Zidd Nahi
Bharta Nahi Hai Zakhmi Dil Kabhi
Kahaniyan Kuch Ansuni Nahi Ankahi
Kia Ab Tamasha Ban Gayi Zindagi
Ye Duniya Matlabi Me Falsafi Ya Parh Kabhi
Ho Baatein Mantaqi Wo Samjhay Sirf Sarsari
Guzray Pal Nahi Ye Ghar Lagay Ab Ghar Nahi
Fakhar Hai Khud Pe Nahi Kaatay Tere Parr Kabhi
Kal Tak Jo Pas Ab Wo Ja Chuka Hai Duur
Teri Awaz Sunke Ata Tha Sukoon
Kardena Maaf Agar Hogai Koi Bhool
Ghar Hua Khaali Wahi Mitti Wahi Dhool
Kia Mera Qasur Kia Tera Qasur
Sab Poochein Kuch Chahiyeh Mujhe Chahiyeh Bas Tu
Tu Hi Meri Saans Jese Tu Hi Hai Lahu
Sach Kahun To Tere Bin Me Adhura Hun
Yaad Teri Aa Hi Gayi
Laut K Tu Ayi Nahi
Kia Hi Likhun Teri Tareef Me
Tu Wo Aag Jo Bhujai Nahi
Yaad Teri Aa Hi Gayi
Laut K Tu Aayi Nahi
Aj Phir Tu Khwaab Aj Phir Wahi Tasveer
Jo Aj Tak Jalai Nahi
Borrowed Time Song Lyrics released in the year 2025. The song Borrowed Time was sung by Talhah Yunus. The music was given by Jokhay. The lyrics were Penned by Talhah Yunus. The music rights for song purely belongs to Jokhay
Share your thoughts