Bhaiya Mere Raakhi Ke Bandhan Ko Nibhana Lyrics  | Chhoti Bahen | Balraj Sahni, Rehman | Lata Mangeshkar | Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Bhaiya Mere Raakhi Ke Bandhan Ko Nibhana Lyrics | Chhoti Bahen | Balraj Sahni, Rehman | Lata Mangeshkar | Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Bhaiya mere raakhi ke badhan ko nibhana
Bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
Dekho ye nata nibhana, nibhana
Bhaiya mere raakhi ke badhan ko nibhana
Bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
Bhaiya mere

Ye din ye tyohar khushi ka,
Pawan jaise nir nadi ka
Bhaai ke ujale maathe pe,
Bahan lagaye magal tika
Jhume ye sawan suhaana, suhaana
Bhaiya mere raakhi ke badhan ko nibhana
Bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
Bhaiya mere

Baandh ke hamane resham dori,
Tum se wo ummid hai jodi
Naazuk hai jo daant ke jaise,
Par jivan bhar jaae na todi
Jaane ye sara zamaana, zamaana
Bhaiya mere raakhi ke badhan ko nibhana
Bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
Bhaiya mere

Shayad wo sawan bhi aaye,
Jo bahana ka rang na laye
Bahan paraae desh basi ho,
Agar wo tum tak pahunch na paaye
Yaad ka dipak jalaana, jalaana
Bhaiya mere raakhi ke badhan ko nibhana
Bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
Bhaiya mere.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *