Behke Huwe Tan Behke Huwe Mann Lyrics | Bahke Kadam | Babul Supriyo | Dilip Tahir, Shibu Pinto

Behke Huwe Tan Behke Huwe Mann Lyrics | Bahke Kadam | Babul Supriyo | Dilip Tahir, Shibu Pinto

Bahke huye tan bahke huye man bahke kadam
Barbaadi ki raaho pe badhte kadam

Baahake huye tan bahke huye man bahke kadam
Barbaadi ki raaho pe badhte kadam
Aao badh ke rok le hum
In naadaan deewano ko
Kahin bhatak na jaye in masumo ke bahke kadam
Bahke kadam bahke kadam bahke kadam

Dekh javan jismo ki numais galiyo me bazaro me
Nangi filme nange poster lage huye diwaro pe
Khuli sadko pe pyar ke drame shor machate gande gaane
Baant rahe hai tv vidio barbaadi ka jahar hawa me

Yovan ki dahlij pe bachpan aake khada jab hota hai
Dekh jamane ka nangapan hosh wo apne khota hai
Hosh me lana hoga hmako in behosh diwano ko
Kahin fisal na jaye in masumo ke bahke kadam
Bahke kadam bahke kadam bahke kadam

Dekhe hai hum ne jo sapne sapne hi na rah jaye
Baali umaar ki nadani se jivan hi na mit jaye
Aisi rahe banaye milke jo manjil taak pahunchaye
Aise phul khilaye chaman me sara vatan mahak jaye

Koi bhatak na paye jaag me aisi rahe banayenge
Is badrang jamane ko hum naye rango se sajayenge
Jivan safal karenge aapna sabako safal banayenge
Nahi bahatkne denge ab hum masumo ke bahke kadam
Bahke kadam bahke kadam bahke kadam

Bahke huye tan bahke huye man bahke kadam
Barbaadi ki raaho pe badhte kadam
Aao badh ke rok le hum
In nadan deewano ko
Kahin bhatak na jaye in masumo ke bahke kadam
Bahke kadam bahke kadam bahke kadam

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *