Be-Sabab Baat Badhane Ki Lyrics  | Face To Face | Jagjit Singh | Jagjit Singh

Be-Sabab Baat Badhane Ki Lyrics | Face To Face | Jagjit Singh | Jagjit Singh

Be sabab baat badhane ki
Zaroorat kya hai
Be sabab baat badhane ki
Zaroorat kya hai
Hum khafa kab the manane ki
Zaroorat kya hai
Be sabab bat badhane ki
Zaroorat kya hai

Aap ke dam se to duniya ka
Bharam hai qayam
Aap ke dam se to duniya ka
Bharam hai qayam
Aap jab hain to zamane ki
Zaroorat kya hai
Be sabab bat badhane ki
Zaroorat kya hai

Tera koocha, tera dar,
Teri gali kafi hai
Tera koocha, tera dar,
Teri gali kafi hai
Be-thikanon ko thikane ki
Zaroorat kya hai
Be sabab baat badhane ki
Zaroorat kya hai

Dil se milne ki tamanna hi
Nahin jab dil mein
Dil se milne ki tamanna hi
Nahin jab dil mein
Hath se hath milane ki
Zaroorat kya hai
Rang aankhoon ke liye,
Boo hai damaghoon ke liye
Phol ko haath lagane ki
Zaroorat kya hai
Be sabab baat badhane ki
Zaroorat kya hai.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *