Bas Ye Kasoor Kiya Hai Lyrics | Kala Chor | Asha Bhosle | Sardul Kwatra

Bas Ye Kasoor Kiya Hai Lyrics | Kala Chor | Asha Bhosle | Sardul Kwatra

Bas ye kasur kiya hai huzur
Ke tumko jo dekha hume pyar aa gaya
Bas ye kasur kiya hai huzur
Ke tumko jo dekha hume pyar aa gaya
Main janu dildar ke jhutha tera pyar
Na jane phir kaise aitbaar aa gaya
Main janu dildar ke jhutha tera pyar
Na jane phir kaise aitbaar aa gaya

Choti si kahani afsana ban gayi
Dekho khud shama parwana ban gayi
Choti si kahani afsana ban gayi
Dekho khud shama parwana ban gayi
Huye bekarar kuch aise baar baar
Ke tadpe to dil ko karar aa gaya
Main janu dildar ke jhutha tera pyar
Na jane phir kaise aitbaar aa gaya

Chahe badnami ho zamane bhar ki
Chahe khak ban jaye tere dar ki
Chahe badnami ho zamane bhar ki
Chahe khak ban jaye tere dar ki
Pyar ki kasam usi ke huye hum
Ke jis pe ye dil ek baar aa gaya
Main janu dildar ke jhutha tera pyar
Na jane phir kaise aitbaar aa gaya

Najro ka sauda najro se kijiye
Jaisa dil liya waisa dil dijiye
Mili jo najar huye bekhabar
Jaisa dil liya waisa dil dijiye
Mili jo najar huye bekhabar
Ke bin peeye humko khumar aa gaya
Main janu dildar ke jhutha tera pyar
Na jane phir kaise aitbaar aa gaya
Bas ye kasur kiya hai huzur
Ke tumko jo dekha hume pyar aa gaya
Bas ye kasur kiya hai huzur
Ke tumko jo dekha hume pyar aa gaya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *