Balam Harjai Jaao Ji Mai To Prit Kiye Pachtaye Lyrics | Shikarpuri | Razia Begum, Mohammed Shafi | Mohammed Shafi

Balam Harjai Jaao Ji Mai To Prit Kiye Pachtaye Lyrics | Shikarpuri | Razia Begum, Mohammed Shafi | Mohammed Shafi

Baalam harjaai jaao ji baalam harjaai
Main to peet kiye pachhtaai
Ho main to peet kiye pachhtaai
Baalam harjaai

Baalam harjaai jaao ji baalam harjaai
O rutho na humse sajni
O rutho na humse sajni
Kisi ne jhuthi baat lagaai
Kisi ne jhuthi baat lagaai
Baalam harjaai jaao ji baalam harjaai

Nadi kinaare kis se jaakar milte ho tum saajan
Nadi kinaare kis se jaakar milte ho tum saajan
Kisse nain ladaate hai aur kisse atka hai man
Kisse nain ladaate hai aur kisse atka hai man
Tum ko banana aata hai
Tum ko banana aata hai
Main to dungi raam duhaai
Ho main to dungi raam duhaai
Baalam harjaai jaao ji baalam harjaai

Nadi kinaare puja karne jaata hun main teri
Nadi kinaare puja karne jaata hun main teri
Saanch baat yahi hai saajan tum ho devi meri
Saanch baat yahi hai saajan tum ho devi meri
Tum ko tadpaana aata hai
Tum ko tadpaana aata hai
Sun leti ho baat paraai
Sun leti ho baat paraai
Baalam harjaai jaao ji baalam harjaai
Main to peet kiye pachhtaai
Ho main to peet kiye pachhtaai
Baalam harjaai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *