Bahut Shukriya Badi Meherbani, Meri Zindagi Me Huzur App Aaye Lyrics | Ek Musafir Ek Hasina | Asha Bhosle, Mohammed Rafi | O P Nayyar

Bahut Shukriya Badi Meherbani, Meri Zindagi Me Huzur App Aaye Lyrics | Ek Musafir Ek Hasina | Asha Bhosle, Mohammed Rafi | O P Nayyar

Bahut shukriya badee meherbanee
Meree jindagee me hujur aap aaye
Kadam chum lu ya
Ke aankhe bicha du
Karun kya yeh meree
Samaj me na aaye
Bahut shukriya

Karun pesh tum ko
(najarana dil ka -2)
Ke ban jaye koyee afasana dil ka
Khuda jane aisee suhanee ghadee phir – (2)
Meree jindagee me palat ke na aaye
Bahut shukriya

Mujeh dar hai mujh me
Gurur aana jaye
Lagu jhumne me
(surur aa na jaye -20
Kahee dil na meraa
Yeh tarif sun kar – (2)
Tumhare bane aur mujeh bhul jaye
Bahut shukriya

Khushee toh bahut hai (magar yeh bhee gam hai -2)
Ke yeh sath apna kadam do kadam hai
Magar yeh musafir duwa mangta hai – (2)
Khuda aapse phir kisee din milaye

Bahut shukriya badee meherbanee
Meree jindagee me hujur aap aaye
Kadam chum lu ya
Ke aankhe bichha du
Karun kya yeh meree
Samaj me na aaye
Bahut shukriya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *