Baandhi Re Kaahe Preet Lyrics  | Sankoch | Jeetendra, Sulakhshana Pandit | Sulakshana Pandit (Sulakshana Pratap Narain Pandit) | Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah

Baandhi Re Kaahe Preet Lyrics | Sankoch | Jeetendra, Sulakhshana Pandit | Sulakshana Pandit (Sulakshana Pratap Narain Pandit) | Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah

Baandhi re kaahe preet
Piyaa ke sag anjaani rit
Baandhi re kaahe preet
Piyaa ke sag anjaani rit
Baali umar mein main na samajhi
Baali umar mein main na samajhi
Kyaa hai preet ki rit
Baandhi re kaahe preet
Baandhi re kaahe preet
Piyaa ke sag anjaani rit

Paas rahi to main na samajhi
Dur hui to jana
Pyaar mein kaise apanaa ban ke
Koi bane begana
Kaise bitegaa ab jivan
Kaise bitegaa ab jivan
Bin saathi bin mit
Baandhi re kaahe preet
Piyaa ke sag anjaani rit

Aag lagi hai ped ki belaa
Lahar ko mile kinara
Bin saajan ki mai hun akeli
Meraa kaun sahaara
Aisa suna laage jivan
Aisa suna laage jivan
Jaise sur bin git
Baandhi re kaahe preet
Baandhi re kaahe preet
Piyaa ke sag anjaani rit.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *