Aye Ishq Hame Barbad Na Kar (Sine Me Aag Bhadkti Hai) Lyrics | Naach | Mohammed Rafi, Suraiya | Husnlal Bhagatram

Aye Ishq Hame Barbad Na Kar (Sine Me Aag Bhadkti Hai) Lyrics | Naach | Mohammed Rafi, Suraiya | Husnlal Bhagatram

Sine me aag bhadkti hai
Aankho se pani bahta hai
Kuch aisi chot lagi dil par
Dil ro ro kar ye kahta hai
Ae ishq hame barbad na kar
Ae ishq hame barbad na kar

Dil tod ke man ka meet gaya
Hum har gaye gum jeet gaya
Khushiyo ka zamana bit gaya
Khushiyo ka zamana yad na kar
Ae ishq hame barbad na kar
Ae ishq hame barbad na kar

Kyu rote hai do diwane
Bedard zamana kya jane
Bedard zamane se aye dil
Ummid na rakh fariyad na kar
Ae ishq hame barbad na kar
Ae ishq hame barbad na kar

Pahle to kapat ne kaid kiya
Saiyad ne phir ye hukm diya
Hotho ko see ashko ko pee,aasu na baha fariyad na kar
Ae ishq hame barbad na kar
Ae ishq hame barbad na kar
Ae ishq hame barbad na kar
Ae ishq hame barbad na kar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *