(Aurat ek kahani maiyya
Aurat ek kahani) – (2)
Roz nayi aur roz purani – 2
Aurat ek kahani maiyya
Aurat ek kahani
(Mata pita ki god me hai wo
Uski god me gudiya) – (2)
(Angana akheli palna soyi
Mithi mithi nindiya) – (2)
Bachpan bita aayi jawani – 2
Aurat ek kahani maiyya
Aurat ek kahani
(Nehar taj sasural saghai
Chakki se preet lagai) – (2)
(Sas nanad se kape thar thar
Maiyya ram duhai) – (2)
Nis din ro ro khoye jamane – 2
Aurat ek kahani maiyya
Aurat ek kahani
(Kal jo bahu thi aaj hai dadi
Jhuk gayi haye kamariya) – (2)
(Bhar gaya beti beto se
Biti jaye umariya) – (2)
Aurat ki ye ram kahani – 2
Aurat ek kahani maiyya
Aurat ek kahani
Roz nayi aur roz purani – 2
Aurat ek kahani maiyya
Aurat ek kahani
