Apne Liye Jiye To Jamane Me Kya Jiya Lyrics | Saugandh | Mohammed Rafi | Dilip Dholakia

Apne Liye Jiye To Jamane Me Kya Jiya Lyrics | Saugandh | Mohammed Rafi | Dilip Dholakia

Apne liye jiye tum jamane me kya jiye
Jina wahi hai jo ho kisi or ke liye
Kaun raha hai kaun rahega
Duniya aani jani
Rahta nam usi ka jisne
Ki hai kuch kurbani

Kaun raha hai kaun rahega
Duniya aani jani
Rahta nam usi ka jisne
Ki ho kuch kurbani

Mard wahi jo jurm ke aage
Sar na kabhi jhukaye
Jo auro ke dukh ki khatir
Apni jan lutaye
Bhul hatega jaise koi
Uski yad suhani
Rahta nam usi ka jisne
Ki ho kuch kurbani
Kaun raha hai kaun rahega
Duniya aani jani
Rahta nam usi ka jisne
Ki ho kuch kurbani

Sochna tune kurbani ka
Kya badla hai paya
Wahi bahut hai tu duniya me
Kam kisi ke aaya
Bacha bacha padhega ek din
Teri prem kahani
Rahta nam usi ka jisne
Ki ho kuch kurbani
Kaun raha hai kaun rahega
Duniya aani jani
Rahta nam usi ka jisne
Ki ho kuch kurbani

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *