Aji Ham Dilli Ke Daade Hain Lyrics | Dilli Ka Dada | Mahendra Kapoor, Mukesh | N Datta

Aji Ham Dilli Ke Daade Hain Lyrics | Dilli Ka Dada | Mahendra Kapoor, Mukesh | N Datta

Aji ham dilli ke dade hain
Dade kya pardade hain
Buron ke haq mein tedhe hain
Bhalo ke haq me saade hai
Ham dilli ke dade hain
Dade kya pardade hain
Buron ke haq mein tedhe hain
Bhalo ke haq me saade hai
Ham dilli ke dade hain

Shahar ki chaudi sadkon par
Ham sina tan ke chalte hain
Dhan-daulat vale bhadabhuje hamko dekh ke jalte hain
Aji unke aur irade hain apane aur irade hain
Arey ham dilli ke dade hain
Dade kya pardade hain
Buron ke haq mein tedhe hain
Bhalo ke haq me saade hai
Are ham dilli ke dade hain

Jama masjid ki sidhi par baith kar khichda khate hain
Lal qile ke agale-pichhle sab kisse doharate hain
Aji yun lagata hai jaise ham lavaris shahazade hain
Arey ham dilli ke dade hain
Dade kya pardade hain
Buron ke haq mein tedhe hain
Bhalo ke haq me saade hai
Ham dilli ke dade hain

Do din apna baind baja kar gayi huqumat goron ki
Lekin ab bhi dhauns hai baki chor-munafakoron ki
Dekhein kab tak pure hon jo sarkar ke vade hain
Arey ham dilli ke dade hain
Dade kya pardade hain

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *