Ae khuda dard o gum ka silsila aaj isi dam tod de
Zindagi lamha lamha mat jala mera daaman chhod de
Saans lena lage ab saza kya karunga main ji ke bata
Kya karunga main ji ke bata
Koi hum safar na koi hum nawa
Palkon me chubhe bas yaadon ka dhuan
Koi hum safar na koi hum nawa
Palkon me chubhe bas yaadon ka dhuan
Dil me kuch nahi zakhmo ke siwa
Nakam hogai har dawa har dua
Kya karunga main ji ke bata
Kya karunga main ji ke bata
Ruk jaaye saanson ka silsila dil dhadakna chhod de
Pyar mera jaana jis din tujhe pyar karna chhod de
Main jiyun tujhse ho ke judaa na dikhaye ye wo din khuda
Na dikhaye ye wo din khuda
Baahon me teri meri raaten ho basar
Jagun har seher bas tujh ko dekh kar
Ho o baahon me teri meri raaten hon basar
Jaagun har seher bas tujh ko dekh kar
Main tere ishq mein khud se hun bekhabar
Bin tere bin tere kuch na aaye nazar
Teri chaahat ho mujh se khafa na dikhaye yeh wo din khuda
Na dikhaye ye wo din khuda

