Ae Haseeno Naazneeno, Main Aa Gaya Hu Lyrics | Shart | Mohammed Rafi | Laxmikant Pyarelal

Ae Haseeno Naazneeno, Main Aa Gaya Hu Lyrics | Shart | Mohammed Rafi | Laxmikant Pyarelal

Ae hasino naznino ae hasino
Naznino mai aa gaya hu lo dil sambhalo
Banke badal aasma pe banke badal
Aasma pe mai chha gaya hu
Lo dil sambhalo ae hasino naznino

Gulshan gulshan mehfil mehfil mere
Charche aam hai charche aam hai
Shayar aashiq diwana ye sare mere naam hai mere naam hai
Aapne bat ye aazmai nahi unko phir rat bhar nind aayi nahi
Jinko apni ek gajal mai jinko apni ek gajal mai suna gaya hu
Lo dil sambhalo ae hasino naznino

Phir mai aana chahu to hargij na aane dijiye na aane dijiye
Ab mai jana chahu to mujhko na jane dijiye na jane dijiye
Kyoki zoharajabino ka dil todke
Jab gaya hu mai mehfil koi chodke
Sabke dil me yaad apni hae sabke
Dil me yaad apni basa gaya hu
Lo dil sambhalo ae hasino naznino

Dekho dekho bato bato me afsana
Ban gaya afsana ban gaya
In zulfo ka in aankho ka mai
Diwana ban gaya diwana ban gaya
Aise daman chhudane se kya fayada
Ab nigahe churane se kya fayada
Banke kajal mai nazar me banke
Kajal mai nazar me sama gaya hu
Lo dil sambhalo ae hasino naznino

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *