Adami Musafir Hai Lyrics | Apnapan | Lata Mangeshkar, Mohammad Rafi | Laxmikant-Pyarelal

Adami musafir hai, aata hai, jata hai
Aate jate raste me yade chhod jata hai

Jhonka hawa kaa pani kaa rela
Mele me rah jayey jo akela
Phir woh akela hee rah jata hai

Kab chhodata hai yeh rog jee ko
Dil bhul jata hain jab kisi ko
Woh bhulakar bhi yad aata hai

Kya sath laye kya tod aaye
Raste me ham kya kya chhod aaye
Manjil pe ja ke yad aata hai

Jab dolati hai, jiwan kee naiyya
Koyi toh ban jata hain khiwayya
Koyi kinare pe hee dub jata hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *