Aaya Holi Ka Tyohar Leke Rango Ki Bahar Lyrics | Daku Mangal Singh | Shamshad Begum, Mohammed Rafi | Laxmikant Pyarelal

Aaya Holi Ka Tyohar Leke Rango Ki Bahar Lyrics | Daku Mangal Singh | Shamshad Begum, Mohammed Rafi | Laxmikant Pyarelal

Aaya holi ka tyohar
Leke rango ki bahar
Chali panghat ko ek matwali
Raste me kisi ne rang dali
Raste me kisi ne rang dali
Aaya holi ka tyohar
Leke rango ki bahar
Chala kheto ko ek matwala
Raste me kisi ne rang dala
Raste me kisi ne rang dala

Gharwale puche gayi kyu akeli
Jag wale chhede kaha rang kheli
Mera kya bata dungi
Mera hal ye kisne kiya
Ho log magar kuch aur na samjhe
Ho log magar kuch aur na samjhe
Naam kisi ka lete tera mukhda jo sharmaya
Aaya holi ka tyohar
Leke rango ki bahar
Chala kheto ko ek matwala
Raste me kisi ne rang dala
Raste me kisi ne rang dala

Kaha jati ho gori bahana karke
Chhodoge kya diwana karke
Bolo re
Chhodoge kya diwana karke
Meri chunri kahe bhigoyi
Is julmi se pucho re koi
Meri chunri kahe bhigoyi
Is julmi se pucho re koi
Julmi se pucho re koi
Julmi se pucho
Mukh dhaanp ke mai kyu royi is julmi se pucho re koi
Ho dono ka hai dosh barabar
Dono ka hai dosh barabar
Hamne rang lagaya
Tune ji ka rog lagaya
Aaya holi ka tyohar leke rango ki bahar
Chali panghat ko ek matwali
Raste me kisi ne rang dali
Raste me kisi ne rang dali

Na ghabra rang hai kacha chhut jayega
Na sharma varna ye dil tut jayega
Rangana hai to bedardi mujhe pyar ka rang laga
Pyar se pahle soch samjh le
Pyar se pahle soch samjh le
Baad me jisne socha wo bahut pachhtaya
Aaya holi ka tyohar
Leke rango ki bahar
Chala kheto ko ek matwala
Raste me kisi ne rang dala
Raste me kisi ne rang dala
Raste me kisi ne rang dali
Raste me kisi ne rang dali

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *