Aansu Na Baha Kar Yaad Use, Jo Is Sansar Ka Naata Hai Lyrics | Guru Ghantal | Mohammed Rafi | Lachchhi Ram

Aansu Na Baha Kar Yaad Use, Jo Is Sansar Ka Naata Hai Lyrics | Guru Ghantal | Mohammed Rafi | Lachchhi Ram

Aansu na baha kar yaad use
Jo is sansar ka data hai
Jo is sansar ka data hai
Mayus na ho is duniya ke
Jo bigde kam badata hai
Wo bigde kam badata hai

Rakh aas usi par tu bande
Kashti ko bhawar me jane de
Phir dekh teri naiya ko
Wo kaise par lagata hai

Jo hota hai tu hone de
Anhoni bat na hogi kabhi
Na hogi kabhi jo unke sahare jite hai
Wo unki laaj bachata hai
Hai man me sacha pyar agar
To milega man ka mit tujhe
Wo jivan ki phulwari me
Aasha ke phul khilata hai

Jo unke sahare jite hai
Wo unki laaj bachata hai
Wo unki laaj bachata hai
Aansu na baha kar yaad use
Jo is sansar ka data hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *