Dhobi Ka Kutta Jaise Ghaat Ka Na Ghar Ka
Poori Tarah Na Idhar Ka
Na Udhar Ka
Sun Re Nikhattu Tera Wohi Toh Haal Hai
Zindagi Ki Race Me Jo Munh Utha Ke Dauda
Zindagi Ne Maari Laat Peeche Chhoda
Tu Hai Wo Tattu
Gadhe Si Jiski Chaal Hai
Pyaar Me Thenga
Bar Me Thenga
Inki Botal Bhi Goron Ki Gulaam Hai
Roothi Hai Mehbooba
Roothi Roothi Sharaab Hai
Hey Aam Hindustaani Teri Kismat Kharaab Hai
Roothi Hai Mehbooba
Roothi Roothi Sharaab Hai
Hey Aam Hindustaani Teri Kismat Kharaab Hai
Aasmaan Se Yun Gira
Khajoor Pe Tu Atka
Tere Haalaat Ne Uthake Tujhko Patka
Ki Aisi Champi Ki Tere Hosh Ud Gaye
Bewafaai Dekh Ke Jo Aayi Tujhko Hichki
Chaudi Chhaati Teri Chutkiyon Me Pichki
Gham Ki Pappi Mili To Baal Jhad Gaye
Pyaar Me Thenga
Bar Me Thenga
Inki Botal Bhi Goron Ki Gulaam Hai
Roothi Hai Mehbooba
Roothi Roothi Sharaab Hai
Hey Aam Hindustaani Teri Kismat Kharaab Hai
Roothi Hai Mehbooba
Roothi Roothi Sharaab Hai
Hey Aam Hindustaani Teri Kismat Kharaab Hai
Aadmi Nahi Tu Samjhe Khud Ko Machhli
Ulti Ganga Me Hai Tairne Ki Khujli
Par Yeh Hukoomat Jo Hai Magarmachh Hai
Laalach Ne Tujhko Aisi Patti Padhaai
Khwaahish Ne Li Hai Degchi Kadhaai
Taqdeer Teri Abhi Bhi Chammach Me Hai
Pyaar Me Thenga
Bar Me Thenga
Inki Botal Bhi Goron Ki Ghulam Hai
Roothi Hai Mehbooba
Roothi Roothi Sharaab Hai
Hey Aam Hindustani Teri Kismat Kharaab Hai
Roothi Hai Mehbooba
Roothi Roothi Sharaab Hai
Hey Aam Hindustani Teri Kismat Kharaab Hai
Aam Hindustani Song Lyrics from the movie/album Bombay Velvet released in the year 2018 starring Ranbir Kapoor, Anushka Sharma. The song Aam Hindustani was sung by Shefali Alvares. This movie/album was directed by Anurag Kashyap. The music was given by Amit Trivedi. The lyrics were Penned by Amitabh Bhattacharya
Share your thoughts