Aag Lagi Tan Man Mein Lyrics | Aan | Shamshad Begum | Naushad

Aag Lagi Tan Man Mein Lyrics | Aan | Shamshad Begum | Naushad

Aag lagi tan-man me dil ko pada thaamna
Raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna
Aag lagi tan-man me dil ko pada thaamna
Raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna
Ho

Sooni hai aaj piya mori atariya
Piya mori atariya
Zara deejo khabariya
Dil tadpe jaise bina jal ki machhariya
Zara leejo khabariya
Sooni hai aaj piya mori atariya
Piya mori atariya
Dil tadape jaise bina jal ki machhariya
Zara leejo khabariya
Aan pade mushqil to aaye koi kaam na
Raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna
Hu

Saajan ki yaad mujhe pal pal sataaye
Mujhe pal pal sataaye
Dekho naina bhar aaye
Tan ka singaar mere man ko na bhaaye
Dekho naina bhar aaye
Saajan ki yaad mujhe pal pal sataaye
Mujhe pal pal sataaye
Tan ka singaar mere man ko na bhaaye
Dekho naina bhar aaye
Pyaar mera ho jaaye kahi badnaam na
Raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna
Haay

Laagi na chhoote karu koi bahaana
Karu koi bahaana
Aaya naazuq zamaana
Dil mera bana piya tera nishaana
Aaya naazuq zamaana
Laagi na chhute karu koi bahaana
Karu koi bahaana
Dil mera bana piya tera nishaana
Aaya naazuq zamaana
Hoye bura ulfat ka dekho anjaam na
Raam jaane kab hoga sainya ji ka saamana

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *