Jaha se chalta hu wahi laut aata hu
Aansu nikal padte hai jab bhi muskurata hu
Jaha se chalta hu wahi laut aata hu
Aansu nikal padte hai jab bhi muskurata hu
Kyu be asar koshishe hai
Kyu ansuni khwahishe hai
Be lafz aansu ye puchhe tu bata
Meri marzi
Teri raza me hai faasla kyu aye khuda
Meri marzi
Teri raza me hai faasla kyu aye khuda
Kyu be asar koshishe hai
Kyu ansuni khwahishe hai
Be lafz aansu ye puchhe tu bata
Meri marzi
Teri raza me hai faasla kyu aye khuda
Oh o khuda
Oh o khuda
Oh o khuda
Oh o khuda
Khwabo me hai daraare aanko me dikhne lagi hai
Saanso ki tooti diwaare kaandhe pe tikne lagi hai
Khwabo me hai daraare aanko me dikhne lagi hai
Saanso ki tooti diwaare kaandhe pe tikne lagi hai
Kis baat ki mujhko mili hai sazaa
Tu hi jaanta hai ye mujhe kya pataa
Meri marzi
Teri raza me hai faasla kyu aye khuda
Meri marzi
Teri raza me hai faasla kyu aye khuda
Kismat me hai dhup lekin chaaon bhi kahi toh hogi
Jaha manzile hongi apni koi aisi zameen toh hogi
Kismat me hai dhup lekin chaaon bhi kahi toh hogi
Jaha manzile hongi apni koi aisi zameen toh hogi
Paao dhudte hai jo rasta jaane kis mod pe hai woh chupa
Tu hi bataa
Meri marzi
Teri raza me hai faasla kyu aye khuda
Kyu be asar koshishe hai
Kyu ansuni khwahishe hai
Be lafz aansu ye puchhe tu bata
Meri marzi
Teri raza me hai faasla kyu aye khuda
Meri marzi
Teri razaa
Meri marzi
Teri razaa
Meri marzi
Teri razaa me hai kyu faasla
Oh o khuda
Oh o khuda
Oh o khuda
Oh o khuda

