Ghazab Kiya Lyrics | Shaayar | Pankaj Udhas | Pankaj Udhas | Pankaj Udhas

Ghazab kiyaa, tere vaade pe aitbaar kiyaa

Tamaam raat qayaamat kaa intezaar kiyaa
Ghazab kiyaa, tere vaade pe aitbaar kiyaa

Ham aise mahv-e-nazaaraa na the jo hosh aataa

Magar tumhaare tagaaful ne hoshiyaar kiyaa

Tamaam raat qayaamat ka intezaaar kiyaa
Ghazab kiyaa, tere vaade pe aitbaar kiyaa

Fasaana-e-shab-e-gam un ko ek kahaanii thhii

Kuchh aitabaar kiyaa aur kuchh naa-aitabaar kiyaa

Ghazab kiyaa, tere vaadepe aitbaar kiyaa

Na puuchh dil kii haqiiqat magar ye kahate hain

Vo beqaraar rahe jisane beqaraar kiyaa
Vo beqaraar rahe jisane beqaraar kiyaa
Tamaam raat qayaamat ka interzaar kiyaa
Ghazab kiyaa, tere vaade pe aitbaar kiyaa.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *